Wednesday, September 28, 2011

DILLI MERI ZABAANI


Ek sheher jahaan dunia bhar ke anjaan bastey hain,
ek sheher jahaan mandiron ki ginti hi nahi hai,
ek sheher jo sota zaroor hai
par yahaan raat hoti nahi hai,
ek sheher jahaan logo ke according
unhe zeher pine ki bhi fursat nahi hai!
Jahaan ka bacha bacha bolta hai hinglishabbi,
yahaan milkar rehtey hai sab, chahe ho wo
maratha, gujrati, malyali bangali ya apne punjabbi,

traffic ke yahaan hai rules anokhe,
koi kisi gaadi ko bas na thoke.
Govt ke fisalne pe lagte hai dharne,
police wale yahan lage rehte hai apni jeb bharne.
Phir bhi ye ek aisa sheher hai janaab,
jahaan mandiron me sikh aur gurudware me baniya paye jaate hain,
dilli ke marathi punjabi zaada ache se jaante hain,
gujarat ke khakra aur dhokle,
yahaan zaada khae jaate hain.

Is sheher me,
health ka sabse zaada maan rakha jaata hai,
har chehre ke niche ek khushaal aur mast pet nazar aata hai.
Style marne me yahaan koi nahi hai kum,
ye sarojini, wo select city aur ise janpath se laayen hai hum
subh yahaan ki hoti badi suhaani hai,
kyuki yoga me aaj ye kahaani jo sunani hai.
Zoo aur deer park me koi faraq nahi hai yahaan pe,
bhid ki koi kami nahi hai idhar me.
Sotey hue bhi,
kehtey hain log,
i am busy,
gol gappe ya chaat papdi ki baat chedke to dheko,
everyone will be raazi..

Bas yahi hai isse chotey mote sheher ki kahaani,
jisse kaha jaata hai
dill walon ki Dilli meri zabaani....

Bikhri mozon me chupi ek pair ki kitab


Kabhi yahaan,
Kabhi wahaan hu main,
Kati patang si firti hu,
Pairon mein main.

Socha nahi hai ab tak,
Ki kya padhna hai mujhe.
Par fir bhi in bikhri mozon me
Kahi gum baithi hai jo
Us kitab ko dhoond rahin hu main.

Kuch soch kar gaadi ke tyre se
Nahi takrai thi main.
Mujhe us ore,  
Dhakka bhi toh diya jaa sakta hai?
Khair, aaj main neend mein hun,
Usi tyre se takraane ki khushi mein.

Mozon se gand,
Aati hai…
Par us gand mein ek sugandh hai luki…
Isiliye shaayad, ab tak
Us moze me bandhi gand ko
Apne aap me dhundti hu mai.

Mujhe us nidar niind se mat jagaao.
Mujhe gaadi chalana mat sikhao.
Bas un bikhri mozon mein jo hai chhuppi,
Us kitaab ko dhundne do.