Friday, July 12, 2013

Raat

Kaha beh jaati hain woh raatein,
Jo kabhi ankahee si kahaani sunati thi..

Har naye suraj ki kiran ko,
Has ke odh so jaati thi..

Hissab nahi  tha use,
Kitne taare hain usmein,
Behissab mannaton ko sametey,
Ruse huon ko manaati thi..

Kabhi kaali, kabhi bhor ke intezar mein,
Kabhi andhi, kabhi bina hawa,
Hazaaron ko behad pyaar se apni,
Taaron se bhari god mein sulaati thi..

Kuch ankahi kahaaniyan,
Lamho ke sang baandh jaati thi..