Monday, December 15, 2014

Jaane Kis Zamaane Mein Jeetey The

Jaane kis zammane mein jeetey the,
Jab ungli pakad hum chaltey the
Aur khud chalne pe girtey the
Kabhi ro kar toh kabhi has kar
Uthna sikha karte the

Jaane kis zamaane mein jeetey the,
Jab subh school ke liye nahi
Chhutti marne ke liye uthtey the
Papa ka bag uthakar
Unke saath office jaane ko ladtey the

Jaane kis zamaane mein jeetey the,
Jab ladai karke aatey the
Unki aakhon se darte the
Doosrey ki galati ho phir bhi,
Usse apni maana kartey the

Jaane kis zamaane mein jeetey the,
Ghar-ghar khelaa kartey the
Sirf badey jootey aur unki shirt pehenkar
Ghar bhar chillaya kartey the

Jaane kis zamaane mein jeetey the,
Unki yaad sataati, toh phone utha
Office mein call kiya kartey the
Tasalli bhari baton se
Pet bharliya kartey the…

Jaane kis zamaane mein jeetey the,
Jab hum bhi unse
Unhi ki tarah
Behisaab pyaar kiya kartey the…